“Guzar gayi muddatein na mila kisika saath,
Hum toh rahe badastoor na thama kisine haath,
Chalkein aankhon se aansoo,hili sadkein paaon taley,
Hum karte rahe intezaar,aa lag jaaye koi galey”
Jab yeh aansoon palkon ki god mein sone lage aur yeh aahein baahar aane ko chatpataye toh jee chahtaa hain ki door kisi veeraane ki aad mein us choobhti dhoop mein kaali chaadar odhey ghoomta rahoon. Takleef doo khudko, kapkapaane doo is badan ko sard hawaaon mein, jal jaane doo ise jalte alaavon mein, kyaa fark padta hain ki yeh rahe naa rahe ki ab ke khwaaish ko phir kandha na de sakoongaa.