Ye kitaab sirf shabdon ka majmua nahi, ek safar hai-dil se dil tak. Kahin musafir apni talaash mein hai, kahin raahgir rasto se bhatak raha hai, aur kahin ek naadaan dil chupke se aah bhar raha hai. Yeh shayari kabhi halka sa muskurati hai, toh kabhi dard ki gehraiyon mein le jaati hai. Har lafz ek kahani hai, har sher ek mehsoos. Pyaar, judaai, ya sirf khud se mulaqat-jo bhi ho, is kitaab ke panne aapko zaroor mehsoos honge. Bas mehsoos karne ki der hai!